Saathiya Saathiya Lyrics by Saathiya Movie

All Saathiya Movie Lyrics

Sinopsys
 lyrics title      : Saathiya Saathiya
 performed by : Saathiya Movie
 language       : scots
 added on       : March 22, 2009
 modified on   : September 15, 2009

Saathiya Saathiya

Saathiya ... Saathiya
maddham maddham teri ye geeli hansi
saathiya ... saathiya
sun ke ham ne saari pee li hansi
hansti rahe tu hansti rahe hayaa kee laalee khilatee rahe
zulf ke neeche gardan pe subah-o-shaam milatee rahe
hansti rahe tu hansti rahe hayaa kee laalee khilatee rahe
zulf ke neeche gardan pe subah-o-shaam milatee rahe
sondhee see hansi teree khilatee rahe milatee rahe
peelee dhoop pahan ke tuum dekho baag mein math jaana
bhanware tum ko sab chhedenge phoolon mein math jaanaa
maddham maddham hans de phir se
sona sona phir se hans de
taazaa gire patte ki tarah sabz lawn par lete huey
saath rang hain bahaaron ke ek adaa mein lapete huey
saawan bhaadon saare tujh se
mousam mousam hanste rahnaa
maddham maddham hanste rahnaa
saathiya ... saathiya
maddham maddham teri ye geeli hansi
saathiya ... saathiya
sun ke ham ne saari pee li hansi
kabhee neele aasmaan pe chalo ghoomanein chalein ham
koi abr mil gayaa to zameen pe baras lein ham
teri baalee hil gaee hai kabhee shab chamak uthee hai kabhee shaam khil gayee hai
tere baalon kee panaah mein is siyaah raath guzare
teri kaalee kaalee aankhein koi ujalee baath uthare
teree ik hansee ke badale meree ye zameen le le meraa aasmaan le le
saathiya ... saathiya
maddham maddham teri ye geeli hansi
saathiya ... saathiya
sun ke ham ne saari pee li hansi
barf giree ho vaadee mein
oon mein lipatee simatee huyee
barf giree ho vaadee mein aur hansee teree goonjee
oon mein lipatee simatee huyee baath kare dhuvaan nikale
garam garam ujlaa dhuvaan naram naram ujalaa dhuvaan

Saathiya Movie

Saathiya Movie lyrics: [Saathiya Movie]

Among others we have the following lyrics performed by Saathiya Movie

  • Mera Yaar Mila De [Banjar hai sab banjar hai - 2 Hum dhoondne ...]
  • Saathiya Saathiya [Saathiya ... Saathiya maddham maddham teri ...]
  • Chupke Se [doston se doston se jhootee mootee doosaron ...]
  • Chori Pe Chori [Song By ASHA BHOSLE AND KARTHIK taubaa taubaa ...]

More lyrics performed by Saathiya Movie

Share & Bookmark

Share this site with others. Help us to grow... or simply bookmark this page :)

Share/Save/Bookmark