Ai Havaa Aa Ke Thaam Le Aanchal Lyrics by Yaad Rakhegi Duniya Movie
All Yaad Rakhegi Duniya Movie Lyricsperformed by : Yaad Rakhegi Duniya Movie
language : scots
added on : March 22, 2009
modified on : September 15, 2009
Ai Havaa Aa Ke Thaam Le Aanchal
Song By ANURADHA PAUDWALo o o, o.., o.. o, o..
[ ai havaa aa ke thaam le aaNchal
ai ghaTaa ban jaa.. aaNkh kaa kaajal
kaliyoN mein chhup ke unhen mahkaa dooN
murjhaaye phooloN ko khilaa dooN..
aajaa haNs ke jeenaa sikhaa dooN -2 ] -2
[ kaale-kaale baadal se ras barsaati hooN
barkhaa ki booNdoN mein jhoom ke gaati hooN ] -2
sehraa mein bhi jal barsaa dooN
sabki pyaas bujhaa dooN..
aajaa haNs ke jeenaa sikhaa dooN -2
la la la la la la -2
aa.., la la la la la la la la la
[ parvat se jharnaa banke bahti hooN
lahroN ke darpaN mein haNsti rahti hooN ] -2
titli jaisi uD ke dikhaa dooN
duniyaa ki sair karaa dooN
aajaa haNs ke jeenaa sikhaa dooN -2
ai havaa aa ke thaam le aaNchal
ai ghaTaa ban jaa.. aaNkh kaa kaajal
kaliyoN mein chhup ke unhen mahkaa dooN
murjhaaye phooloN ko khilaa dooN..
aajaa haNs ke jeenaa sikhaa dooN -2